Sunday, August 1, 2010

'My first ever gazal, what else can define it better?!?'

Chalo Phir Se Woi Din Raat Shuru Kertay Hain,
Un-Kahay Woi Khayalat Shuru Kertay Hain !!

Jab Baat Iss Nehaj Tak Pohanchi Na Thee..
Iss Baat Se Pehlay Ki Koi Baat Shuru Kertay Hain !!

Na Tum Mein Wo Talab, Na Hum Mein Wo Intishaar,
Woi Purani Aaadat Shuru Kertay Hain !!

Jiss Raat Ke Tilism Ne Kerwaye Kaee Ehad,
Us Raat Se Guzashta Koi Raat Shuru Kertay Hain !!

Ab Jab Ke Musalsal Doori Hai Muqadarr..
Usi Pehlay Din Ki Mulaqaat Shuru Kertay Hain !!

Bohot Rokay Ansoo Ruswai Ke Darr Se..
Chalo Woi Be Baha Barsaat Shuru Kertay Hain !!

Baat Kernay Ko Garche Nigahain Hain Kafi, *
Magar Be-Rabt Se Sawalat Shuru Kertay Hain !!

Ab Jab Ke Fikr-e-Farda, Fikr-e-Moash, Fikr-e-Yaar Be Hai,
Be Fikr Woi Lamhaat Shuru Kertay Hain !!

Such He Kehtay Hain Mohabbat Hai Bais-e-Gham, *
Kyun Na Pabandi-e-Riwayaat Shuru Kertay Hain ??

Tum Be Inkaar-e-Mohabbat Kero, Mein Be Bewafai Ka Izhaar, *
Ab Ke Jhutay He Jawabaat Shuru Kertay Hain !!
--
Saira Bano.
April, 2007.

|hmm.. us shakhs ke naam, us be-basi ke naam, jis ne mujay qalam uthanay pe majboor kia and now.. i feel proud that at least i can say, i know how to write my feelings down on a piece of paper, whenever i feel like.

ye meri pehli gazal thee, 2007 mein, kyun thee, kesay thee, that doesn't matter anymore even though i still remember that..

magar aik baat meine note ki.. insaan kab cheezon k peechay bhagta bhagta un se agay nikal jata hai pata he nahi chalta.. pata tab chalta hai jab wo cheezon se agay itna door nikal chuka hota hai.. ke un ke peechna bhagnay be-maqsad aur bewaoofi lagta hai..|

** my favorite.

No comments: