Sunday, August 1, 2010

'Shiddatein'

'Bachpun'

wo bachpun ki parriyan, wo pholon ki raani,
wo sachey se sapnay, wo chanda kahani,
kahan hain wo din jo rehtay jawaan hain?!?
wo qissay adhooray, yeh batain purani !!

wo nanhay se hathon pe mehandi lagani,
wo apni he tolli mein batain seeyani,
kahan hain wo din jo rehtay jawaan hain?!?
wo qissay adhooray, yeh batain purani !!

wo be-rabt qissay kisi ki zubani,
wo lehafon mein chup ke hansi dabbani,
kahan hain wo din jo rehtay jawaan hain?!?
wo qissay adhooray, yeh batain purani !!

wo jawani ki dehleez zara jaldi aani,
wo hamaray parron pe pabandi lagani,
kahan hain wo din jo rehtay jawaan hain?!?
wo qissay adhooray, yeh batain purani !!

phir zindagi isi tarz-e-rah pe lagani,
kahan ka wo bachpun? kahan ki jawani?
kahan hain wo din jo rehtay jawaan hain?!?
wo qissay adhooray, yeh batain purani !!
--
Saira Bano.
July 14, 2009.

'Moheb'

Chala Hai Ab Ke Jafa Ka Mosam..

Na Koi Sawan Baras Sakay Ga,
Na Koi Pat'Ta Panap Sakay Ga,
Na Koi Joban San'war Sakay Gi,
Na Koi Rasta Safar Banay Ga !!
Na Koi Manzil Lagay Gi Apni..
Na Koi Rehbar Yeh Keh Sakay Ga..

"Zarra Sa Rs'ta Abi Hai Baqi..
Zarra Si Mushkil Hai Aur Rahi..
Magar Yaqeen Hai..
Magar Yaqeen Hai..
Isi Se Agay..
Tuloo-e-Subh Ka 'wo' Suraj Chamak Raha Hay..
Wo Raat Ka Akhiri Sitara Damak Raha Hay !!"

[Magar]
Koi Naheen Hai!
Jo Keh Sakay Keh..
Chaak Teerge-e-Shabb Tou Hogi..
Dard Ki Koi Had Tou Hogi..
Kabi Tou Roshan Khayal Hoon Gay..
Jahalaton Ki Shabb Tou Ho Gi!

Chali Hai Aesi Fana Ki RutT Ke..

Nishaan-e-Manzil He Kho Gaye Hain..
Tamam Mosam UjarR Gaye Hain..
Wo Sabz Pat'Tay He Jal Gaye Hain..
Keh..
Keh..[Alas!]
Khawab Saray He Marr Gaye Hain !!
--
Saira Bano.
3rd Aug, 2009.
8:41am.

|The context of this poem is the current situation in Pakistan. That's why I wrote "Na Koi Rehbar Yeh Keh Sakay Ga..". The word Moheb means 'the one who loves'. I extracted it from Moheb-e-Wat'Tan.|

'August 12, 2009'

merey chaara gar
merey dard ki tujhey kia khabar
tu merey safar ka shareek hai
nahi hum-safar
mairey chara gar, merey chaara gar
merey haath sey terey haath tak
wo jo haath bhar ka tha faasla
kai mosmon main badal gaya
ussey naaptey, ussey kaat-tey
maira saara waqt nikal gaya
nahi jis pai koi nishaan-e-paa
mairey saamney hai wo rah-guzar
mairey chaara gar
mairey dard ki tujhey kia khabar...
--

'My first ever gazal, what else can define it better?!?'

Chalo Phir Se Woi Din Raat Shuru Kertay Hain,
Un-Kahay Woi Khayalat Shuru Kertay Hain !!

Jab Baat Iss Nehaj Tak Pohanchi Na Thee..
Iss Baat Se Pehlay Ki Koi Baat Shuru Kertay Hain !!

Na Tum Mein Wo Talab, Na Hum Mein Wo Intishaar,
Woi Purani Aaadat Shuru Kertay Hain !!

Jiss Raat Ke Tilism Ne Kerwaye Kaee Ehad,
Us Raat Se Guzashta Koi Raat Shuru Kertay Hain !!

Ab Jab Ke Musalsal Doori Hai Muqadarr..
Usi Pehlay Din Ki Mulaqaat Shuru Kertay Hain !!

Bohot Rokay Ansoo Ruswai Ke Darr Se..
Chalo Woi Be Baha Barsaat Shuru Kertay Hain !!

Baat Kernay Ko Garche Nigahain Hain Kafi, *
Magar Be-Rabt Se Sawalat Shuru Kertay Hain !!

Ab Jab Ke Fikr-e-Farda, Fikr-e-Moash, Fikr-e-Yaar Be Hai,
Be Fikr Woi Lamhaat Shuru Kertay Hain !!

Such He Kehtay Hain Mohabbat Hai Bais-e-Gham, *
Kyun Na Pabandi-e-Riwayaat Shuru Kertay Hain ??

Tum Be Inkaar-e-Mohabbat Kero, Mein Be Bewafai Ka Izhaar, *
Ab Ke Jhutay He Jawabaat Shuru Kertay Hain !!
--
Saira Bano.
April, 2007.

|hmm.. us shakhs ke naam, us be-basi ke naam, jis ne mujay qalam uthanay pe majboor kia and now.. i feel proud that at least i can say, i know how to write my feelings down on a piece of paper, whenever i feel like.

ye meri pehli gazal thee, 2007 mein, kyun thee, kesay thee, that doesn't matter anymore even though i still remember that..

magar aik baat meine note ki.. insaan kab cheezon k peechay bhagta bhagta un se agay nikal jata hai pata he nahi chalta.. pata tab chalta hai jab wo cheezon se agay itna door nikal chuka hota hai.. ke un ke peechna bhagnay be-maqsad aur bewaoofi lagta hai..|

** my favorite.

'Larki..'

Pagal Aankhon Wali Larki..

Itnay Mehngay Khawab Na Dekho.. Thak Jao Gi !
Kanch Se Nazuk Khawab Tumhary Toot Gaye To Pachtao Gi !
Soch Ka Sara Ujla Kundan Zabtt Ki Rakh Main Ghul Jaye Ga,
Kachay Pakay Rishto Ki Khushbo Ka Resham Ghul Jae Ga ..

Tum Kiya Jano ?!?

Khawab - Safar Ki Dhoop Ke Teshay !
Kahwab - Adhoori raat Ka Dozakh !
Khawab - Khayaloo Ka Pachtawa !

Khawabon Ki Manzil Ruswai !
Khwabon Ka Hasil Tanhai !

Tum Kiya Jano ?!?

Mehngay Khwab Kharedna Ho To..
Aankhain Bechna Parti Hain ! [True]
Rishtay Bhoolna Party Hain..
Andeshon Ki Rait Na Phanko..
Piyas Ki Oot Sarab Na Dekho..

Itnay Mehngay Khwab Na Dekho..
Itnay Mehngay Khwab Na Dekho..

Thak Jao Gi..
--
|Haina?|

'Jawab-e-Shikwa'

suno..
zindagi keh is safar se agay,
naye dino'N ki fiqer se agay,
guzray kal ki khaber se agay,
shab-e-wasl ki sahar se agay,
jahan be dhekhoon
tujhko chahoon,
jahan be jaoon
tujhko paaon..

keh..
zindagi safar bani hai..
naye dino'N ki fiqer barri hai..
guzray kal ki khaber nahi hai..
shab-e-wasl abi talli nahi hai..
magar..
tumhari chahat
waheen bassi hai !!
tumhari ulfat
gaye nahi hai !!

tou bolo kesay?
tumbin ye safar keroon?
mein teri chahat kum keroon?
fikre dunya mein chal paroon..
aur tumko 'ager magar' kahoon??

tumhein pata hai??
tumhein khabar hai??
zindagi bani hai tumse..
naye dino'N ki saye hai tumse.. [saye = koshish]
fikre maazi nahi hai tumse..
shab-e-wasl hasee'N hai tumse..

aur is pe Janaa'N
kehtay ho.. (bhool jaon!!)
socho khud se..
kesay tumko
bhool jaon?
kesay tumse
nibah na paaon..
aesa ker doon??
tou marr na jaaon !??!
--
Saira Bano
3rd May, 2010.
5.17am

|Ebby: In context with the recent complains and so many dumb decisions that we were going to make. The poem is one of the finest efforts I have been making to dedicate something to this person, who means a lot to me. I really had this thing in mind for so many months. I mean to write something for you, has been my desire for past few months. Yet, sometimes things go wrong and he assumes he has gotten no place in my life. Aesa nahi socha kero, I do love you a lot. It's just that I'm too clumsy to notice the minute details.
:))|