Sunday, August 1, 2010

'Bachpun'

wo bachpun ki parriyan, wo pholon ki raani,
wo sachey se sapnay, wo chanda kahani,
kahan hain wo din jo rehtay jawaan hain?!?
wo qissay adhooray, yeh batain purani !!

wo nanhay se hathon pe mehandi lagani,
wo apni he tolli mein batain seeyani,
kahan hain wo din jo rehtay jawaan hain?!?
wo qissay adhooray, yeh batain purani !!

wo be-rabt qissay kisi ki zubani,
wo lehafon mein chup ke hansi dabbani,
kahan hain wo din jo rehtay jawaan hain?!?
wo qissay adhooray, yeh batain purani !!

wo jawani ki dehleez zara jaldi aani,
wo hamaray parron pe pabandi lagani,
kahan hain wo din jo rehtay jawaan hain?!?
wo qissay adhooray, yeh batain purani !!

phir zindagi isi tarz-e-rah pe lagani,
kahan ka wo bachpun? kahan ki jawani?
kahan hain wo din jo rehtay jawaan hain?!?
wo qissay adhooray, yeh batain purani !!
--
Saira Bano.
July 14, 2009.

2 comments:

WritingsForLife said...
This comment has been removed by the author.
Ubaid said...

this is indeed very beautiful :)